TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Sunday, May 29, 2005

Marna Jayein kahin.......

-Chahe hum se jitni bhi door tum jaao,
Tamanna hai ke marne se pehle lout aao!

-Bichard ke tujhse is tarha hum roote,
Bas zinda hai ke tere deedar per ye dum toote.

-Ab chahe jag choote ya Rab roote,
lout ker aajao ke bas ab ye dum toote.

-Isse pehle ke zindagi hojaye bewafa,
Moth dekhane lage apni adaa.
Lout ker aana tum lekar apni wafa,
Taake haste , haste hum hojayen tum per fidaa.

-Zindagi hi nahi mera wajood ban gaye ho tum,
Dil mein dharakti har dharkan ban gaye ho tum.
Kitni mohabbath hai tum se omeed ke ab jaan gaye ho tum,
Bus marne se pehle lout aao chahe kitni bhi door chale gaye ho tum.

-Zindagi se kuch is tarha gaye tum meri,
Intezaar mein tere thak gayein hain ankhein meri,
Jane ko hai ab tou jaan bhi meri,
kya aaoge ab bas mazaar per hi meri.

-Marna jaayein kahein issi tamanna ke saath,
Zindagi bhar humqadam ban ke chalein hum saath saath.

Zaara


RELATED ASHAAR.

By My brother:

Mere marne ke baad mera janaza us ke kooche se le jana
Taake vo dekhe, dhek kar tadpe, tadap kar kahe
Are margaya haramzade!

By Others:

Pather pade sanam tere aise pyaar per,
Marne ke baad aaye ho rone mazaar per.

Moth per bhi hai mujhe yaqheen ,
Tum per bhi hai aitebaar,
Dekhein koun pehle aaye,
Dono ka hai intezaar.