TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Friday, June 13, 2008

AUR VO….

Hum unki yaadoun mein khoye rehtein hein
Aur vo doobe rehtein hein sharaab mein-
Hamari ankhoun se ashk behte rehtein hein
Aur vo jhoomte hein pure shabaab mein-
Hum raat ko tare ginte rehtein hein
Aur vo dekhayi detien hein shakl-e- mehtaab mein-
Hum neend ko bhagate rehtein hein
Aur vo palakh japak te hi chale aatein hein kwaab mein-
Hum kwaboun ke haar bunte rehtein hein
Aur vo nazr aate hein har gulaab mein-
Hum apne dil se swaal karte rehtein hein
Aur vo miltein hein har jawaab mein-
ZAARA

Nashter sa chubhta hai aaj bhi rag-e-jaan ke khareeb
Ke ban baitha hai vo mera raqeeb
Jo tha kabhi is dil ka habeeb
Ja kar suna unhe mera haal-e-dil , aye andaleeb
Chahe karle tou jitney bhi sitam…
Mera dil na manega tujhe kabhi apna raqeeb
Bhoole se bhi na bhoolega,tera ahsaan ye gareeb
ZAARA

Jab dil toote aur ankh bhar aaye
Jane kyoun shiddath se unki yaad aaye
Nabz bhi hai thami thami
Aur saans bhi rok rok kar aaye..

Moath hai saamne khadi per khareeb na aaye
Is ko bhi hai intezaar shayed ab tou mera koe habeeb aaye
Hum bhi hai muntazir dost na sahi kam se kam mera koe raqeeb aaye…

Aisibhi kya berokhi ke jab tak jiye tanha jiye
Aur ab moath bhi tanhayi mein aaye….
ZAARA