TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Sunday, August 17, 2008


Is duniya ka kya yeh to darya ka pani hai

maunjain kabhi shanth to kabhi toofani hai...

Mukhtasir si hamari prem kahani hai

main uski dushman aur vo mera dilbarjaani hai...

Bichard ke bhi mujhe usse yeh badgumani hai

ke meri yaad kabhi to usko bhi aani hai...

ZAARA

Saturday, August 16, 2008

Aaj chaudvi ki shab hai
per jaane kyoun raath badi kali si hai.
Paas mere sab hai
phir bhi zindagi khali si hai.

Koe dushman na koe raqeeb, ab hai
charoun aur pehli khushali si hai
Aankh nam hone ka kya sabab hai?
muskurati hovi ankhon mein yeh kaisi lali si hai.
ZAARA

Friday, August 15, 2008

Happy Independence Day!

Vo Panjab ke hare bhare lehrate keth,

Vo Rajistan ki sunehri reth.

Vo Kashmir ke barfile parbath,

Har shai mein barasti mohabbath.

Sachcha , sidha saadha har shakhs,

Pani mein ho jaise chaudvi ke chaand ka aks.

Mere sapnoun ka hai aisa Hindustaan

Jis pe kardoun main apni jaan bhi qurbaan.

ZAARA

Thursday, August 14, 2008

EK BAAR PHIR.....

Na tujhse teri kahani sunugi, Na apna khissa sunaongi.

Souncha hai ke apne honton per mein chup ki mohar lagalungi.

Na tujhe bolaungi , Na tujhse milne aaoungi.

Main teri sulagti yaadon se is dil ki shamma jalaoungi.

Na kabhi yeh chahath ka diya buja hai , Na kabhi bujhaoungi,

Na tere dil mein koe mohabbath ka deep jala oungi.

Bus pyaar se tere dil mein ek baar phir apni jagha bana lungi

ZAARA

Wednesday, August 13, 2008

DEDICATED TO AMMI & PAPPA!

Khushiyan zahir karti hon,
aur ghum ko chupa rakhti hon,
In chamakti huvi ankhon mein
main ashkon ko daba rakhti hon..

Ghair ho ya ke ho koe apna,
har shaqs ki khaber rakhti hon,
Khosh-o-khurram rahe saare
main bas inti arez rakhti hon.

Kisi se shikwa na
Khuda se gila rakhti hon,
Musalman hon ke
main kismath pe yaqheen rakhti hon.

Rahatein ho ke ho sau dard
hoton pe hasi rakhti hon
Apne amaal pe
main khud apni nazar rakhti hon.

Kisi mullah na murshad ki
chaukhat pe khadam rakhti hon,
Sirf Allah ke darbaar mein
main sir ko jhuka rakhti hon.

Har tamanna meri
Allah ne puri kardi
Mutmaein hon ke
main apni duaon mein aser rakhti hon.
ZAARA.

Sunday, August 10, 2008

LOVE THIS SONG!

http://www.youtube.com/watch?v=BXvWy4pdLcs