SOME SIMPLE "SHAERI" OF MINE.
Na tum bewafa ho, Na hum bewafa hein.....
-Hum bawafa the is liye nazroun se gir gaye,
Shayed unhe talaash kisi bewafa ki thi.
-Aye kaash ke mein de sakoun apni wafa ka sabooth,
Meri majboriyoun ko jis ne diya hai bewafae ka wajoodh.
-Matlab ki hai ye duniya yahain koun kis ka hota hai,
Bewafa bhi vohi hota hai jis per bharosa kiya hota hai.
-Aye zindagani kaise chukaoun ye kharz,
Ek taraf pyaar hai tou ek taraf hai farz.
Farz na nibhaya tou khelaoungi nafarmaan,
Pyaar ko thukraya tou milega bewafa ka naam.
-Galioun mein hota hai jab charcha teri jafaoun ka,
har kooche se nikalta hai janaza meri wafaoun ka.
-Tere jaane se jaati hai jaan bhi meri,
Kaash legaya hota apne saath to yaad bhi teri.
Tujh ko tou na hai yaqheen wafaoun per meri,
Seene se lagaker jeete hain hum jafaoun ko teri.
-Chord ker saare jahan ko kya tha kabhi maine tera inteqaab,
Bichard ke tujhse sounchti houn tou hai haqeeqath ya tha koe sunhera qawaab.
Na kya tune mujhse koe sawaal na suna mera koe jawaab,
Dediya mohabbath ko meri tune bewafae ka khitaab.
-Seena cheer ker mera dil nikaal le,
Dil hi kya meri jaan bhi maang le,
Chahe jo mujhe ilzaam de,
Per bewafa ka na mujhko naam de.
Na tum bewafa ho na hum bewafa hein,
do no ke dil bhi ek duje per fidaa hein,
Mere doopti kashti ke aap hi to nakhuda hein,
Phir kyoun hamari raahein judaa hein.
Zaara
0 Comments:
Post a Comment
<< Home