TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Thursday, October 04, 2007

Aaah aah, aaah aah, aah aah, aah aah, aah aah aah aah
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Pehle maaloom na tha, aaj yeh maine samjha
Pyaar kehte hai jisse, voh hai dilon ka saudaa
Dil ki dhadkan ko bhalaa kaise koi qaid kare
Yeh to azaad hai jab chaahe jahan aahe bhare
Uske raste mein khadi kyoon koi deewar kare - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Aaah aah, aaah aah, aah aah, aah aah, aah aah aah aah
Saare vaadon ka bharam, pal mein voh tod gaya
Gham ke jis mod pe laake voh mujhe chhod gaya
Main ussi mod ki dehleez pe so jaaoongi
Umr bhar uske liye ajnabi ho jaaoongi
Har sitam shok se mujhpe dildaar kare - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Buraa kyoon maanoon, buraa kyoon manoon


http://www.dishant.com/lyrics/song-3581.html

kyon jindagee kee raah mein, majboor ho gaye
itane huye kareeb ke hum door ho gaye


ayesaa naheen ke hum ko koee bhee khushee nahee
lekin ye jindagee to koee jindagee nahee
kyo isake faisale humei manzoor ho gaye

itane huye kareeb ke hum door ho gaye

paayaa tumhe to hum ko lagaa, tum ko kho diyaa
hum dil pe roye aaur ye dil hum pe ro diyaa
palakon se khwaab kyo gire, kyo chur ho gaye

itane huye kareeb ke hum door ho gaye.......

http://www.dishant.com/lyrics/song-12528.html



Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade
roz hii kii tarah aaj bhii dard ko ham chhupaane lage the magar ro pade
aur ab kyaa kahen, kyaa huaa hai hame tum to ho bekhabar, ham bhii anjaan hain
bas yahi jaan lo to bahut ho gayaa ham bhii rakhate hain dil, ham bhii insaan hain
muskuraate hue ham bahaanaa koi fir banaane lage the magar ro pade

Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade


hain sitaare kahaan itane aakaash par har kisi ko agar ek sitaaraa mile
kashtiyon ke liye ye bhanvar bhii to hain
kyaa zaruuri hai sab ko kinaaraa mile
bas yahi soch kar ham badhe chain se duub jaane lage the magar ro pade

Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade


umr bhar kaash ham yuun hii rote rahe
aaj kyun ke hame ye hui hai khabar muskuraahat kii to koi kimat nahii aansuon se hui hai hamaari kadar baadalon kii tarah ham to barase binaa laut jaane lage the magar ro pade

Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade


http://www.dishant.com/lyrics/song-7175.html