Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade
roz hii kii tarah aaj bhii dard ko ham chhupaane lage the magar ro pade
aur ab kyaa kahen, kyaa huaa hai hame tum to ho bekhabar, ham bhii anjaan hain
bas yahi jaan lo to bahut ho gayaa ham bhii rakhate hain dil, ham bhii insaan hain
muskuraate hue ham bahaanaa koi fir banaane lage the magar ro pade
Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade
hain sitaare kahaan itane aakaash par har kisi ko agar ek sitaaraa mile
kashtiyon ke liye ye bhanvar bhii to hain
kyaa zaruuri hai sab ko kinaaraa mile
bas yahi soch kar ham badhe chain se duub jaane lage the magar ro pade
Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade
umr bhar kaash ham yuun hii rote rahe
aaj kyun ke hame ye hui hai khabar muskuraahat kii to koi kimat nahii aansuon se hui hai hamaari kadar baadalon kii tarah ham to barase binaa laut jaane lage the magar ro pade
Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade
http://www.dishant.com/lyrics/song-7175.html
0 Comments:
Post a Comment
<< Home