TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Monday, June 10, 2013

Kitna Pyaar Diya Usse Par Mila Kuch Bhi Nahi,
Itni Gehri Chahat Ka Hasil-O-Hasool Kuch Bhi Nahi,

Woh Humse Khafa The To Jaan Nikal Gayi Thi Hamari,
Hum Unse Khafa Hain To Unko Maalum kuch Bhi Nahi,
...
Is Kadar Dukh Diye Hain Na Jaane Kis Khata Par,
Par Hum Bhi Sabar Kar Gaye Aur Kiya Sawal Kuch Bhi Nahi,

Uski Khushi Mein Hansne Wale aaj Khaas Hain Uske Liye,
Dukh Mein Uske Saath the Hum, Hamari Misaal Kuch Bhi Nahi..!!!

Muddat K Baad Dekha Usay Badla Hua Tha WOh
Najanay Kya Haadsa Hua Sehma Hua Tha WOh
Mujhe Dekh Kar Usne Chehra TO Chupa Liya
MAGAR Aankhen Bata Rahi Thi K ROYA Hua Tha WOh
Uski AankhOn Mein Dekh Kar MEHSOOS Hua Mujhe
Meri Tarha Kisi SOCH Mein DOOBA Hua Tha WOh
Uski SOnay Jesi RANGAT Zard Par Gayi Thi
Jese Kisi K Pyaar Mein Jala Hua Tha WOh
Qurbaan JaOOn Us Shaks ki qismat Par
Yaad Mein Jis Ki KhOya Hua Tha WOh…...!!!!

Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai..

Wednesday, February 27, 2013

Tere diye ansoun sholay banker jalne lagein hein,
Raton ko hum bhi ab deewanon ki tarah jagne lagein hein...

Tere diye phool kaantay banker chubne lagein hein,
Hum ko apne bhi ab beganon ki tarah lagne lagein hein...
ZAARA

Humne poocha "Ager hum bewafa hote, to kya karte"?
Us zamil ne muskura ker kaha "Itni bhi mohabbath nahi tumse, ke nafrath karte"! 
ZAARA

Thursday, February 14, 2013

Humne Usse Mohabbat Mein Chahne Ki Inteha Kardi,
Apni Har Khushi Uss Par Fida Kardi.

Kuch Iss Andaaz Se Usne Loota Mujhko,
Meri Hi Zindagi Mere Liye Saza Kardi.

Baith Kar Namaz Mein Maangi Thi Jiski Qurbat,
Khuda Ne Usse Ki Judaai Ataa Kardi.

Raat Bhar Rote Hai Ab Usse Yaad Karke,
Ab Sochte Hai, Mohabbat Hi Ki Thi, Ke Koi Khata Kardi.

Tang Aakar Joh Khuda Se Maangi Maut Humne,
Bewafa Ne Humari Lambi Umr Ki Dua Kardi.

Saturday, January 21, 2012

Tere siwa kya jaane koi dil ki haalat Rabba
Saamne tere guzri mujh per kesi qayamat Rabba

main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gae hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi mene magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujri shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal he ummeed ka
he mujhe Khuda ka jo aasra
na hi mene koi gila kiya
na hi mene di hain duhaaiyaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

main bataoun kya, mujhe kya mile?
mujhe sabr hi ka sila mile
kisi aagahi ki rida mile
kisi dard hi ka sira mile
kisi gham ki dil me jagah mile
jo mera he wo mujhe aa mile
rahe shaad yoon hi mera jahaan
ke yaqeen me badle mera gumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

http://www.youtube.com/watch?v=gSUnB8w4k5E&feature=related

Friday, December 23, 2011

Jisne bhi hame loota dost banke loota...
Warna dushmanon mein itni jurrath kahan Thi?

Uska humse hans ker milna ek fareb tha....
Warna Uski ankhon mein vo nadamath kahan Thi?

Vohi dete rahe baar bar apni begunahi ka sabooth hame...
Warna humko unse koe shikayath kahan thi?

Seekha hai humne unse hhi baghawath karna....
Warna apni ye adath kahan Thi?

Ranjish thi, Khalish thi...wehshesth thi...
Ab dilon main vo pehli si Mahabbath kahan Thi...
ZAARA

Tuesday, December 20, 2011

Karwan yadon ke umeed ka samaan na ker..
Mere khoye huve khawbon ko pareshan na ker..

Dard ki raath hai ye raath guzer jayegi ...
Mere Ashkon ki ye barsaath guzer jayegi...

Bewafa rehne de mujh per koe ahsaan na ker...
Mere khoye huve khawbon ko pareshan na ker...

Mere saathi mera gham hai meri tanhayi hai..
Teri furqath mein bhi jine ki kasam khayi hai..

Ab sitam koe naya mujh pe maherbaan na ker..
Mere khoye huve khawbon ko pareshan na ker...

Tuesday, November 29, 2011

TU JO NAHIN HAI TU KUCH BHI NAHIN HAI By Giln John

Monday, November 28, 2011


Muddad ke baad aaj phir teri yaad chali aayii
Is murdah dil mein jaan laut aayii...
Door hogayi saari tanhayii
Goonj uthi fizaon mein shehnayii...
ZAARA



Friday, November 12, 2010

Jis Dil Mein Basa Tha Pyar Tera...

Sunday, June 13, 2010

Zindagi Pyar Ka Geet Hai song - Souten

Friday, May 28, 2010

Saare sapne kanhi kho gaye [Broken Heart Song]

Friday, November 06, 2009

Vohi tum ho...Vohi hum hein...

Sunte the waqt bada marham hai,
khaye chot to toota yeh bharam hai...

Aaj tak taro taaza kal ke lage zakham hein,
Vohi tanhayi ka aalam,
Vohi mousam-e-gham hai....

Fizaoun mein phela vohi purana saaz
vohi purani sargam hai.

Milkar bhi juda juda sa mera hamdam hai,
Vohi bekharar dil ki dharkan hai,
Vohi saansein maddham hein...

Yeh zindagi ka kaisa mord hai
Yeh kaunsa muqham hai
Vohi muskurate lab hein
Vohi ankhein nam hein
Vohi bekhaber tum ho
Vohi bebas hum hein....
ZAARA

Wednesday, January 28, 2009

BEAUTIFUL POETRY

I did not attain he whom I desired....
But I did see the realities of the world.

I neither dishonoured you,
Nor shamed myself...
And thus , did I fulfill
the rituals of love.

when we met and where
we parted....
I do not rmember.
Oh life! It seems that I've seen you
only in my dreams.

Oh ,"Aadaa", what else
can be said of my state?
I traversed the long journey of my life
all alone.
AADAA
http://www.youtube.com/watch?v=xkbIuvjrzQQ

Sunday, October 19, 2008

SALAMATH RAHE TU SAADA....

Salamath rahe tu sadaa, har pal ye dua maangti hon,

Door hokar bhi hai tu dil ke paas ye maanti hon.

Har dukh , har ghum ko khote se taangti hon,

Aur apne Rab se omeed ki dor baanti hon.

Chahe tu kare ya na kare ikhrar,

Tujhe bhi hai mujhse pyaar, main ye jaanti hon!

ZAARA

Sunday, September 28, 2008

Dil Apna Aur Preet Parayi...

(Ajeeb daastaan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
Yeh manzile hai kaunsi
Na voh samajh sake na hum)
(Yeh roshni ke saath kyoon
Dhuaan utha chiraag se)
Yeh khwaab dekhti hoon main
Ke jag padi hoon khwaab se
Ajeeb daastaan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
Yeh manzile hai kaunsi
Na voh samajh sake na hum
(Mubaarakein tumhe ke tum
Kisi ke noor ho gaye)
Kisi ke itne paas ho
Ke sab se door ho gaye
Ajeeb daastaan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
Yeh manzile hai kaunsi
Na voh samajh sake na hum
(Kisi ka pyaar leke tum
Naya jahan basaaoge)
Yeh shaam jab bhi aayegi
Tum humko yaad aaoge
Ajeeb daastaan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam
Yeh manzile hai kaunsi
Na voh samajh sake na hum

http://www.youtube.com/watch?v=NZzCfoV9H7Q

Monday, September 22, 2008

Ghar vo kar gaya!

Aaj hamare dil ka bouj utar gaya
Ek pal mein sab kuch badal gaya
Dil ki Khalish door ho gae
Vo bhi kisi ki ankhon ka noor hogaya
Hamare bhi daaman se daagh dhul gaya
Yeh aur baath hai ki dil ka kharar bhi kho gaya
Vo zamane ki ranginioun mein kho to gaya....Akhir kaar hamse door ho to gaya
Lekin phir bhi hamare khayaloun se, khaboun se uska tasawwur na gaya
Aur dil ke ek khaas hisse mein hamesha ke liye mehfooz hogaya
Hamari mouth tak ka....ya phir us ke bhi baad tak ka hamsafar vo bangaya
Hamare dil-o-dimagh mein aisa ghar vo kar gaya!

ZAARA

Sunday, August 17, 2008


Is duniya ka kya yeh to darya ka pani hai

maunjain kabhi shanth to kabhi toofani hai...

Mukhtasir si hamari prem kahani hai

main uski dushman aur vo mera dilbarjaani hai...

Bichard ke bhi mujhe usse yeh badgumani hai

ke meri yaad kabhi to usko bhi aani hai...

ZAARA

Saturday, August 16, 2008

Aaj chaudvi ki shab hai
per jaane kyoun raath badi kali si hai.
Paas mere sab hai
phir bhi zindagi khali si hai.

Koe dushman na koe raqeeb, ab hai
charoun aur pehli khushali si hai
Aankh nam hone ka kya sabab hai?
muskurati hovi ankhon mein yeh kaisi lali si hai.
ZAARA

Friday, August 15, 2008

Happy Independence Day!

Vo Panjab ke hare bhare lehrate keth,

Vo Rajistan ki sunehri reth.

Vo Kashmir ke barfile parbath,

Har shai mein barasti mohabbath.

Sachcha , sidha saadha har shakhs,

Pani mein ho jaise chaudvi ke chaand ka aks.

Mere sapnoun ka hai aisa Hindustaan

Jis pe kardoun main apni jaan bhi qurbaan.

ZAARA

Thursday, August 14, 2008

EK BAAR PHIR.....

Na tujhse teri kahani sunugi, Na apna khissa sunaongi.

Souncha hai ke apne honton per mein chup ki mohar lagalungi.

Na tujhe bolaungi , Na tujhse milne aaoungi.

Main teri sulagti yaadon se is dil ki shamma jalaoungi.

Na kabhi yeh chahath ka diya buja hai , Na kabhi bujhaoungi,

Na tere dil mein koe mohabbath ka deep jala oungi.

Bus pyaar se tere dil mein ek baar phir apni jagha bana lungi

ZAARA

Wednesday, August 13, 2008

DEDICATED TO AMMI & PAPPA!

Khushiyan zahir karti hon,
aur ghum ko chupa rakhti hon,
In chamakti huvi ankhon mein
main ashkon ko daba rakhti hon..

Ghair ho ya ke ho koe apna,
har shaqs ki khaber rakhti hon,
Khosh-o-khurram rahe saare
main bas inti arez rakhti hon.

Kisi se shikwa na
Khuda se gila rakhti hon,
Musalman hon ke
main kismath pe yaqheen rakhti hon.

Rahatein ho ke ho sau dard
hoton pe hasi rakhti hon
Apne amaal pe
main khud apni nazar rakhti hon.

Kisi mullah na murshad ki
chaukhat pe khadam rakhti hon,
Sirf Allah ke darbaar mein
main sir ko jhuka rakhti hon.

Har tamanna meri
Allah ne puri kardi
Mutmaein hon ke
main apni duaon mein aser rakhti hon.
ZAARA.

Sunday, August 10, 2008

LOVE THIS SONG!

http://www.youtube.com/watch?v=BXvWy4pdLcs

Friday, June 13, 2008

AUR VO….

Hum unki yaadoun mein khoye rehtein hein
Aur vo doobe rehtein hein sharaab mein-
Hamari ankhoun se ashk behte rehtein hein
Aur vo jhoomte hein pure shabaab mein-
Hum raat ko tare ginte rehtein hein
Aur vo dekhayi detien hein shakl-e- mehtaab mein-
Hum neend ko bhagate rehtein hein
Aur vo palakh japak te hi chale aatein hein kwaab mein-
Hum kwaboun ke haar bunte rehtein hein
Aur vo nazr aate hein har gulaab mein-
Hum apne dil se swaal karte rehtein hein
Aur vo miltein hein har jawaab mein-
ZAARA

Nashter sa chubhta hai aaj bhi rag-e-jaan ke khareeb
Ke ban baitha hai vo mera raqeeb
Jo tha kabhi is dil ka habeeb
Ja kar suna unhe mera haal-e-dil , aye andaleeb
Chahe karle tou jitney bhi sitam…
Mera dil na manega tujhe kabhi apna raqeeb
Bhoole se bhi na bhoolega,tera ahsaan ye gareeb
ZAARA

Jab dil toote aur ankh bhar aaye
Jane kyoun shiddath se unki yaad aaye
Nabz bhi hai thami thami
Aur saans bhi rok rok kar aaye..

Moath hai saamne khadi per khareeb na aaye
Is ko bhi hai intezaar shayed ab tou mera koe habeeb aaye
Hum bhi hai muntazir dost na sahi kam se kam mera koe raqeeb aaye…

Aisibhi kya berokhi ke jab tak jiye tanha jiye
Aur ab moath bhi tanhayi mein aaye….
ZAARA

Saturday, May 17, 2008

Tum Na Jaane Kis Jahaan Mein Kho Gaye
Ham Bharii Duniyaa Mein Tanahaa Ho Gaye
Tum Na Jaane Kis Jahaan Mein...
Ek Jaan Aur Laakh Gam, Ghut Ke Rah Jaaye Na Dam
Aao Tum Ko Dekh Lein, Duubatii Nazaron Se Ham
Luut Kar Meraa Jahaan Chhup Gaye Ho Tum Kahaan
Tum Kahaan, Tum Kahaan, Tum Kahaan
Tum Na Jaane Kis Jahaan Mein ...
Maut Bhii Aatii Nahin, Raat Bhii Jaatii Nahin
Dil Ko Ye Kyaa Ho Gayaa, Koii Shay Bhaatii Nahin
Luut Kar Meraa Jahaan Chhup Gaye Ho Tum Kahaan
Tum Kahaan, Tum Kahaan, Tum Kahaan
Tum Na Jaane Kis Jahaan Mein Kho Gaye
Ham Bharii Duniyaa Mein Tanahaa Ho Gaye.........

Thursday, March 27, 2008

WHEN U R NOT AROUND......

When you're not around......
Nothing seems to be right
As far as my eyes cud sight
I find nothing to my delight

In deep despair my heart is always found....
My life has b'com like a dark lonely night
It seems as the moon has lost all its light
But in the mirror of my heart, theres ur image, dazzling bright

Look! how romantic my poem has b'come, both in sense and sound.....
But what a piteous pligth
What if I loose u forever is my biggest fright
As I feel even my prayers ' ve lost its might

When you're not around...
Nothing seems to be right !
ZAARA

Tuesday, March 25, 2008

Kho kar tujhe, hame hova hai yeh ahsaas
Door reh ker bhi tu hai dil ke kitne paas
Nahi rahi bagi ab, tujhse milne ki koe aas
Tootne ko hai ab tou zindagi ki aakhri saans
Dar hai marne ke baad hamare
Kahin to bhi na banjaye Dev Daas.....
ZAARA

Friday, January 04, 2008

Masoom

Tujhse naaraaz nahii.n zindagii, hairaan huu.n mai.n ho hairaan huu.n mai.n
Tere maasuum savaalo.n se pareshaan huu.n mai.n hooo pareshaan huu.n mai.n

Tujhse ...

Jiine ke liye sochaa hii nahi, dard sambhaalane ho.nge
Muskuraaye.n to, muskuraane ke karz uthaarne ho.nge
Hooo Muskuraauu.n kabhii to lagataa hai
Jaise ho.ntho.n pe karz rakhaa hai

Tujhse ...

Zindagii tere gham ne hame.n rishte naye samajhaaye
Mile jo hame.n dhuup me.n mile chhaa.nv ke tha.nde saaye

Hoo tujhse ...

Aaj agar bhar aaii hai.n, buu.nde.n baras jaaye.ngii
Kal kyaa pataa inake liye aa.nkhe.n taras jaaye.ngii
Hoo Jaane kab gum hua, kahaa.n khoyaa
Ek aa.nsuu chhupaake rakhaa thaa

Tujhse ...

CHALTE CHALTE

pyaar hamko bhii hai pyaar tumko bhii hai
I'm in love, and so are you;
to ye kya silsile ho gaye
so how did this chain of events unfold?
bewafaa ham nahii.n bewafaa tum nahii.n
I'm not unfaithful; neither are you.
to kyo.n itne gile ho gaye
So why did all these accusations spring up?
chalte chalte kaise ye faasale ho gaye
How did these distances form along the way?
kya pataa kahaa.n ham chale
Who knows where we went (awry)?
pyaar hamko bhii hai pyaar tumko bhii hai
I'm in love, and so are you;
to ye kya silsile ho gaye
so how did this chain of events unfold?
bewafaa ham nahii.n bewafaa tum nahii.n
I'm not unfaithful; neither are you.
to kyo.n itne gile ho gaye
So why did all these accusations spring up?
chalte chalte kaise ye faasale ho gaye
How did these distances form along the way?
kya pataa kahaa.n ham chale
Who knows where we went (awry)?
pyaar hamko bhii hai pyaar tumko bhii hai
I'm in love, and so are you;
to ye kya silsile ho gaye
so how did this chain of events unfold?
bewafaa ham nahii.n bewafaa tum nahii.n
I'm not unfaithful; neither are you.
to kyo.n itne gile ho gaye
So why did all these accusations spring up?
chalte chalte kaise ye faasale ho gaye
How did these distances form along the way?
kya pataa kahaa.n ham chale
Who knows where we went (awry)?
duniya jo puuchhe to kya ham kahe.n
If the world asks, what shall I say?
koii yeh hamko samjhaa de
Can someone please explain this to us?
THes lagii to pal me.n TuuT gaye
We took a blow, and in one moment it all broke apart.
shiishe ke the kya sab vaade
Were all our promises made of glass?
jaata hai koii kyo.n sapno.n ko THukaraake
Why does someone go forward after spurning his dreams?
paa'ega yeh dil kya kisii ko bataake
What will this heart gain after revealing itself [lit.: telling] to someone?
chalte chalte raakh ham bin jale ho gaye
I turned into ashes along the way, without even burning.
bujh gaye diye pyaar ke
The lamps of love were extinguished.
pyaar hamko bhii hai pyaar tumko bhii hai
I'm in love, and so are you;
to ye kya silsile ho gaye
so how did this chain of events unfold?
Duub gaya hai jaise dard me.n dil
As if my heart has drowned in pain,
aa.nsuu bharii hai.n ab aa.nkhe.n
my eyes are now filled with tears.
tanhaa'iyo.n kii jo rut aa ga'ii
The season of loneliness which has arrived
ujaRii hu'ii hai.n sab raahe.n
has laid waste to all the roads.
socha tha paa'e.nge dono.n ek ma.nzil
I thought the two of us would find one destination.
raahe.n jo badalii to tum hii bataa do
If the paths have changed, you alone (must) tell me!
chalte chalte gum kahaa.n kaafile ho gaye
Where did our caravan get lost along the way?
kho gaye kahaa.n raaste
Where did we lose the roads?
pyaar hamko bhii hai pyaar tumko bhii hai
I'm in love, and so are you;
to ye kya silsile ho gaye
so how did this chain of events unfold?
bewafaa ham nahii.n bewafaa tum nahii.n
I'm not unfaithful; neither are you.
to kyo.n itne gile ho gaye
So why did all these accusations spring up?
chalte chalte kaise ye faasale ho gaye
How did these distances form along the way?
kya pataa kahaa.n ham chale...
Who knows where we went (awry)...

MORE THAN WORDS -

Saying I love you
Is not the words I want to hear from you
Its not that I want you
Not to say, but if you only knew
How easy it would be to show me how you feel
More than words is all you have to do to make it real
Then you wouldnt have to say that you love me
Cos Id already know
What would you do if my heart was torn in two
More than words to show you feel
That your love for me is real
What would you say if I took those words away
Then you couldnt make things new
Just by saying I love you
More than words
Now Ive tried to talk to you and make you understand
All you have to do is close your eyes
And just reach out your hands and touch me
Hold me close dont ever let me go
More than words is all I ever needed you to show
Then you wouldnt have to say that you love me
Cos Id already know
What would you do if my heart was torn in two
More than words to show you feelThat your love for me is real
What would you say if I took those words away
Then you couldnt make things new
Just by saying I love you
More than words

Saturday, November 24, 2007

Once again, to u , I remind,

Theres a special bound with which we are bind.

Our love is so pure and divine

Like a diamond it shall always shine.

ZAARA

Looking deep into my heart,i found,

It wants U to always be arround.

From night to the dawn

In ur memories its drawn

Is it love or m I spellbound.

ZAARA

Is it a co-incedence or a wish come true,
U always cheer me up ,when i m sad and blue.
What if u suddenly disappear,
Is what I always fear.
So today lemme tell U, more than U
Theres nothing I value.

ZAARA

Thursday, October 04, 2007

Aaah aah, aaah aah, aah aah, aah aah, aah aah aah aah
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Pehle maaloom na tha, aaj yeh maine samjha
Pyaar kehte hai jisse, voh hai dilon ka saudaa
Dil ki dhadkan ko bhalaa kaise koi qaid kare
Yeh to azaad hai jab chaahe jahan aahe bhare
Uske raste mein khadi kyoon koi deewar kare - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Aaah aah, aaah aah, aah aah, aah aah, aah aah aah aah
Saare vaadon ka bharam, pal mein voh tod gaya
Gham ke jis mod pe laake voh mujhe chhod gaya
Main ussi mod ki dehleez pe so jaaoongi
Umr bhar uske liye ajnabi ho jaaoongi
Har sitam shok se mujhpe dildaar kare - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Buraa kyoon maanoon, buraa kyoon manoon


http://www.dishant.com/lyrics/song-3581.html

kyon jindagee kee raah mein, majboor ho gaye
itane huye kareeb ke hum door ho gaye


ayesaa naheen ke hum ko koee bhee khushee nahee
lekin ye jindagee to koee jindagee nahee
kyo isake faisale humei manzoor ho gaye

itane huye kareeb ke hum door ho gaye

paayaa tumhe to hum ko lagaa, tum ko kho diyaa
hum dil pe roye aaur ye dil hum pe ro diyaa
palakon se khwaab kyo gire, kyo chur ho gaye

itane huye kareeb ke hum door ho gaye.......

http://www.dishant.com/lyrics/song-12528.html



Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade
roz hii kii tarah aaj bhii dard ko ham chhupaane lage the magar ro pade
aur ab kyaa kahen, kyaa huaa hai hame tum to ho bekhabar, ham bhii anjaan hain
bas yahi jaan lo to bahut ho gayaa ham bhii rakhate hain dil, ham bhii insaan hain
muskuraate hue ham bahaanaa koi fir banaane lage the magar ro pade

Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade


hain sitaare kahaan itane aakaash par har kisi ko agar ek sitaaraa mile
kashtiyon ke liye ye bhanvar bhii to hain
kyaa zaruuri hai sab ko kinaaraa mile
bas yahi soch kar ham badhe chain se duub jaane lage the magar ro pade

Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade


umr bhar kaash ham yuun hii rote rahe
aaj kyun ke hame ye hui hai khabar muskuraahat kii to koi kimat nahii aansuon se hui hai hamaari kadar baadalon kii tarah ham to barase binaa laut jaane lage the magar ro pade

Aaj dil pe koi zor chalataa nahii.
muskuraane lage the magar ro pade


http://www.dishant.com/lyrics/song-7175.html

Wednesday, August 22, 2007

SEED OF LOVE

You make me forget all my sorrow
When you call my name three or four times in a row.
Your love is my only pride
Baby, hope u 're not taking me for a ride
They say u reap what u sow
So lets plant the seed of love in our hearts and let it grow.
ZAARA

Saturday, August 18, 2007

MY VERY FIRST LEMRICK POEM

You' re only one of the kind,
Therefore in your love I'm blind.
Oh! how I wish you cud be mine,
Everything between us shud be fine.
In your eyes love for me, Is all I cud find.
ZAARA

Wednesday, August 15, 2007

HAPPY INDEPENDENCE DAY!

Aye mere pyaare watan
Aye mere bichhade chaman
Tujh pe dil qurbaan

Too hee meree aarajoo,
Too hee meree aabaru,
Too hee meree jaan.

Tere daaman se jo aaye,

Un hawaaon ko salaam
Choom loo main us jubaan ko

Jis pe aaye teraa naam
Sab se pyaaree subah teree,

Sab se rangee teree shaam.

Maa kaa dil banke kabhee

Seene se lag jaataa hain too
Aur kabhee nanheesee betee

Ban ke yaad aataa hain too
Jitnaa yaad aataa hain too,

Utnaa tadpata hain too .

Chhodkar teree jameen ko
Door aa pahuche hain hum
Fir bhee hain yahee tamannaa

Tere jarro kee kasam
Hum jahaan paidaa huye,

Us jagah hee nikle ye dam.

Aye mere pyaare watan
Aye mere bichhade chaman
Tujh pe dil qurbaan.....

Monday, August 13, 2007

EK BAR MUSKURADO .......

Toot gaya saara bharam
Nind se jaag gaye hum

Zindagi ki rahoun mein banana koe humkhadam
Tanha the , thanha reh gaye hum

Dua hai miljaye tujh ko tera sanam
Teri dauniya se door jaa rahein hein hum

Chuye na kabhi tum ko koe gham
Bas yehi maangte hein apne khuda se hum

Chahe jitne bhi karle tu hum per sitam
Kabhi koe shikwa na gila kareinge hum

Gar rahoge is tarha hum se khafa, ye humdam
Jeete jee marjayeinge hum

Kar lo hum se har rishta khatam
Jao ab tumhe nahi rokeinge hum

Per jaate-jaate itna kar do karam
Ek bar muskurado.......jeeleinge hum.
ZAARA

Friday, July 13, 2007

TANHAIYAN

Aise kho gaye ho tum hamare jahan se
Jaise gum ho jatein hein din mein tare aasman se.

Ishq hai tumhi se, tumhi se hai jine ka sahara,
Tumhi ho pehla aur akhri pyaar hamara...
Kehtein hein yeh shaan se.

Hoga na humse yeh ishq dubara,
Hoton per hai sirf naam tumhara...
Chahtein hein tum ko aaj bhi hum dil-o-jaan se.
ZAARA.

Saagar se bhi Gahree hai tanhaiyan,
Raat se bhi kali gamki parchaiyan,
Dhoondhti hoon tumhe,
Khoye na jaane ho..Tum kahan,
Tum kahaa, Tum ho kahaan....

TUM YAAD AAYE

Wednesday, June 13, 2007

Sometimes there are moments
when nothing goes right and it seems
as if our world has crumbled
into forgotten dreams.
We think we' ve done our level best
but everything's coming apart,
and each new day holds no promise
when we' ve such a heavy heart---
But such times don't last forever
and the clouds will disappear,
there is a silver lining
and the picture will get clear.
Though its easy to say, remember,
looking to the sun will find you
facing each day with a new strength
while your shodows will all fall
behind you.
ZAARA.

Friday, March 16, 2007

HAPPY BIRTHDAY SYED!!!

Tuesday, March 13, 2007

I really don’t care!

People say I don’t understand. Yes! I agree I don’t understand why people believe in the falsehood of this life; the life which everyone knows will come to an end one day.

I don’t understand why people have greed and lust for something thats not going to last.

I don’t understand why people don’t think before hurting someone, what if life doesn’t give them a chance to even apologize.

Who is immortal?

Everyone has to die one day.

What is it that you’re going to take along? And
What‘re you going to leave behind?

What is it that may keep you going? And?
What’re you going to be remembered for?

I’m sure its not your property or your gains.
But maybe for how you used to make others happy in spite of your own pains.

With your love you bring a smile on someone’s face.
In your happiness everyone has a share.
And for your love anything you bare.

These‘re the simple things I understand.
If still people thing I don’t understand….I really don’t care!
ZAARA.

Tuesday, February 13, 2007

U R WORTH IT!

Beyond any problems we may‘ve
We‘ve a special bond.
It hasn’t been easy for us lately….
It seems that there’s always something
Holding us apart……
It’s not a question of who’s to blame?
B’coz we’re both being ourselves,
And there’s no fault in that.
Beneath it all,
We’ve something worthwhile,
And if we can sort through the confusion,
We can find the happiness we both want.
I think our love is worth it
I know U R WORTH IT!

ZAARA

Tuesday, February 06, 2007

Hum Bewafa.....

Hum Bewafa Hargiz Na The
Par Hum Wafa Kar Na Sake
Humko Mili Uski Sazaa
Hum Jo Khata Kar Na Sake
Kitni Akeli Thi Wo Raahein Hum Jinpar
Ab Tak Akele Chalte Rahein
Tujhse Bichhadke Bhi O Bekhabar
Tere Hi Gham Mein Jalte Rahein
Tuney Kiya Jo Shikwa
Hum Wo Gilaa Kar Na Sake


Tumne Jo Dekha Suna Sach Tha Magar
Kitna Tha Sach Ye Kisko Pata
Jaane Tumhe Maine Koi Dhokha Diya
Jaane Tumhe Koi Dhokha Hua
Is Pyar Mein Sach Jhooth Ka
Tum Faisla Kar Na Sake

Saturday, January 13, 2007

VADA RAHA !

Door se hi deedaar kareinge
Ab na kabhi unke paas hum jaeinge

Bahot yaad unhe hum kar chuke
Ab unko yaad hum aaeinge

Ankhon se unki hum nindein churaeinge
Tanha ratoun ke saathi hum banjaeinge

Jaagti ankhon se vo hume dekh paeinge
Is khadr unke khayaloun mein hum samajaeinge

Chah kar bhi vo hum ko bhola na paeinge
Jitna bholana chaheinge, hum utna hi yaad aaeinge

Bas ek baar pukaro hume, hum lout aaeinge
Vada raha ! Marker bhi vada nibhaeinge.

ZAARA

Wednesday, September 13, 2006

Tum ho bas tumhi ho......

Ranj-o-gham ki rahon per chal ker yeh hova hasil
Mohabbaton ki , rahaton ki milgae hum ko manzil...

Barbadiyon ki daastan kuch is tarah hovi mukammil
Toofan mein doopti kashti ko mil gaya ho jaise sahil....

Chaand uttar aaya hai zameen per , saji hai sitaron ki mehfil
har shaiy mein hai tu hi tu shamil....

Khushi se jhoom utha hai aaj yeh dil
Ab to tum ho , bas tum hi ho hamara mustaqbil.....
ZAARA