TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Saturday, January 28, 2006

VO LAMHEIN

Haseen lamhon ki soughath de gaya koe,
Mujhe in ashkoun ki barsaath de gaya koe.
Vo raath jis mein molaqaath ki thi betaabi,
Meri hayaath mein vo raath de gaya koe.
Na jal sakeingein chiraag-e-omeed ab shayed,
Bujhe, bujhe se lamhaath de gaya koe.
Nahi hai sahel mohabbath ki raah per chalna,
Jo kat sake na vo haalaath de gaya koe.
Main kya kehti gham-e-dil ka haal,
Mujhe vo dard ke naghmaath de gaya koe.

Lamha lamha intzar kiya us lamhe ke liye
aur woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,
guzarish yehi hai khuda se ke kash woh lamha fir aye ek lamhe ke liye.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home