TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Monday, March 13, 2006

KOE KHUDA NAHI HOTA

Kuch log kehtein hein :
Koe Khuda nahi hota

Khud per hai jinhe yaqheen unke khadmoun mein sara jahan hai hota
Sitaroun ki gardish nahi hoti , Jaadu mein koe asar nahi hota
Koe bhi kaam khismath, taqdeer , ya muqadder se nahi hota
Apna naseeb khud apne hi bus mein hai hota
Matlab ki hai yeh duniya yahan koe kisi ka nahi hota
Sachcha yahan pyaar kisi ko kise nahi hota.

Hum kehtein hein :
Jahan mein sab ka nazariya eksan nahi hota
Dil se maango tou dua mein bhi hai asar hota
Jahan mein Ishq, Mohabbath, Pyaaar ke siva kuch nahi hota
Har rishta, naata issi ki bunyaad per hai qhayyam hota
Sub kuch agar bashar ke haath hota
Kabhi Laila nahi marti, Kabhi Khaiz Majnoon nahi hota
Mehboob hamara bhi humse door nahi hota
Koe ranjish , koe shikwa, koe gila nahi hota
Koe Hindu , Koe Musalmaan nahi hota, aadmi-aadmi se juda nahi hota
Agar sach mein koe Bhagwaan, Koe Khuda nahi hota.
ZAARA

1 Comments:

At Monday, March 27, 2006 4:52:00 AM, Anonymous Anonymous said...

zaara, you have a point there.its me savvy!

 

Post a Comment

<< Home