TERE LIYE.......

Shaeri khoon-e-jigar ka hai labalab saagar, kisi kam fahem ki tafri ka saaman nahi... THIS IS MY FIRST ATTEMPT TO EXPRESS MY CONVICTION THROUGH POETRY.

Tuesday, June 13, 2006

TUM YAAD AAYE

Aaj phir yadoun ka karvan chala aaya
Door chord ayein hein jo vo khaboun ka jahan chala aaya

Jaane koun ghadi mein vo ban ke dil ka mehmaan chala aaya
Ulfath mein unki yeh main kahan se kahan chala aaya

Jaan jane ko hai aur yeh bhi na jaan sake ke kab meri mouth ka samaan chala aaya.
ZAARA


Sare sapne kahin khogaye
hai hum kya se kya hoge

Dil se tanhae ka dard jeeta ,
kya kahein hum pe kya kya na beeta
Tum na aaye magar jo gaye
hai hum kya se kya hogaye

Sare sapne kahin khogaye
hai hum kya se kya hoge

Tumne humse kahi thein jo batein ,
unko dohratein hein gham ki raatein
Tumse milne ke din tou gaye
hai hum kya se kya hogaye.

Sare sapne kahin khogaye
hai hum kya se kya hoge

Koe shikwa na koe gila hai ,
tumse kab humko yeh gham mila hai
Haan naseeb apne hi sogaye
hai hum kya se kya hogaye...

Sare sapne kahin khogaye
hai hum kya se kya hoge.
TUM YAAD AAYE

0 Comments:

Post a Comment

<< Home